Ek gaavn ka Sarpanch pahali bar Dehli aaya,
Ek chorahe par kafi bhid thi,
Wah bhid se bachane ke liye edhar udhar tahal raha tha,
Ki tabhi chorahe par khade trefik kanstebal ki najar us par padi,
Usane sarpanch ko data, edhar udhar kya ghum rahe ho ?,
Futpath par chalo,
Sipahi ki dant sunkar sarpanch ko krodh aa gaya,
Akadkar bola – tum kyo nahi ek kinare khade ho jate,
Khud to sadak ke bicho bich khade hokar nach rahe ho,
Or mujhse kah rahe ho,futpath par chalo |